Ek sard raat ke baad,
kuchh alsaai si dhoop karwat badal rahi thi,
sainkado zinda kahaniyon ko lekar,
train waise hi rukk rukk kar chal rahi thi!
kuchh bachhon ka jhund,
aapas me khil-khila raha tha,
apne apne naye naram kapdon pe itra raha tha,
koi nanhe haatho se,
apni topi utaarne ka prayaas kar raha tha,
to koi maa ke haathon se bane,sweater me chamakte button ko nihaar raha tha!
chaai-chaai ki wo awaaz,
sabko neeche utaarne lagi,
station ka naam dekhne,
aankhen khidke se bahar jhaankne lagi!
train ka ye itna lamba safar,
station ki us chahal-pahal me jaise chhupne laga,
aane hi wali hai manzil bhi meri,
train ka siren zor zor se ye kehne laga!
Suiyaan dekhne ka bhi koi faida nahi,
jaise sardi me,
gaadi aur samay ka koi waaida nahi!
koi hai jo baitha hai intezaar me,
station par ya platform ticket ki kataar me!
ab train apne pahiye thaam si rahi hai,
Hawaaon me jaise unki mehak badh si rahi hai!
unki ek jhalak bhar dekh mujhe aisa laga,
maano sab apni jagah par ho tham sa gaya!

No comments:
Post a Comment