doston ke saath hasna gaana hai,
cafe's me dhamaal machana hai,
ek doosre ko zara sataana hai,
kyunki celebration to bas bahana hai..
ghar ki deewaron ko sajaana hai,
mithaai-patashe sabko khilana hai,
ghar-walo ke saath samay bitaana hai,
kyunki celebration to bas bahana hai..
puraane nagme gun-gunaana hai,
chai-pakoda khana hai,
long drive par jaana hai,
kyunki celebration to bas bahana hai..
khoob saare gubbare fulaana hai,
cake bhi sabko lagaana hai,
un yaadon ko camera me sajaana hai,
kyunki celebration to bas bahana hai..
No comments:
Post a Comment