Friday, March 1, 2013

Haal-e-Dil...

Savere ki wo khili si dhoop,
Jab pade aagan me humare,
Roshni se bhar de har pal,
Yaad le aaye pal guzre sange tumhare…

Yaad aati hai,
wo meethi si awaaz,
aur yaad aata hai,
Wo har pal,
Guzra jo aapke saath..

Yun hi,
pyaar se mukurana aapka,
aur fir,
dil ke taar chhed jaana aapka,

main kya bataun,
haal-e-dil,
kya sunaaun,
mere har din..
jo guzar to rahe hain..
par har waqt,
har ghadi,
khayalo me to bas
aap hi ho ..

jaldi se aa jao
ab tum,
deedar ko tarsi
ab ye aankhen,

milke kehdo kuchh
ab tum,
sunne ko tarsi main
ab aapki baatien…

....


No comments:

Post a Comment